Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaanay Waalay Lyrics - Owais Raza Qadri



Aa Gaye Muzdah Shafa’at Ka Sunaanay Waalay Lyrics - Owais Raza Qadri




AA GAYE MUZDAH SHAFA’AT KA SUNAANAY WAALAY LYRICS




Aa gae muzda shafa’at ka sunanay wale,

Naar-e-dozakh se ghulamon ko bachanay wale.



Hai muqaddar main bulandi hi bulandi apne,

Hum tou hain kadmon main sar un k jhukanay wale.



Kar k ehsaan jitaana yeh nahi shaan unki,

Aur koi hon gai woh ehsaan jitaanay wale.



Mar k pohancha jo lehed main tou nakeeron ne kaha,

Marhaba na’at shah-e-deen ki sunanay wale.



Tu jala sakti nahi sun le jahanam hum ko,

Hum tou hain jashan-e-wilaadat kay mananay wale.



Kash sarkaar sar-e-hashar kahain mujh se Obaid,

Aa ja daaman main meri na’at sunanay walay.



NASHEED INFORMATION:

Sana Khawan: Owais Raza Qadri